Collection 2
Chand ke liye sitare anek han,
lekin sitaron ke liye chand ek hai,
Aapke liye to hazaron honge,
lekin hamare liye aap hi ek hain.
Har ek muskuruhat muskan Nahi hoti,
nafrat ho ya mohabbat aasan nahi hoti,
aansu gam ke aur khushi ke ek jaise hote hai,
inki pehchan aasan nahi hoti...
Dosti ki tadap ko dikhaya nahi jata,
dil mein lagi aag ko bhujaya nahi jaata,
Kitni bhi doori ho dosti me,
aap jaise dost ko bhualaya nahi jaata.
Tumko chahne wale kam na honge,
waqt ke sath magar ham na honge,
apna pyar chahe kisi ko bhi dena,
par teri yaad ke hakdar ham hi honge.
Raat itni haseen thi,
Ke saare so rahe the,
Hum hi aise badnaseeb the,
Jo aap ki yaad main ro rahe the.
pathar pani main mat pheko,
usse koi aur bhi peetahai,
zindagi haske jiyo,
tumhe dekh kar koi aur bhi jeeta hai.
kehte hai gam baatne se hota hai kam,
aisa hi kabhi pehle maante the hum,
tere pyar ki nishani tera gam hi to mere paas,
wo bhi baat du to rahega kya mere paas.
Kaate nahi kat te hain lamhe intezaar ke,
Nazarein jama ke baithe hain raste pe yaar ke,
Dil ne kaha dekhein jo jalwe husn-e-yaar ke,
Layaa hai koun inko, phalak se utaar ke.
0 Comments:
Post a Comment
<< Home