Thursday, June 15, 2006

Collection 3

Dil ki aawaz ko izhaar kehte hain,
Jhuki nazaro ko ikraar kehte hain,
Sirf paane ka naam ishq nahi,
Kuch khone ko bhi pyar kehte hain...


Hasi ke raste pe chala karo,
khushiyo ki mahak liya karo,
pyar se dilon ko chuha karo,
jahan tumhe gum nazar aaye,
is nacheez ko yaad kiya karo.


Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai,
Koi aankhon aankhon mein mulakaat kar leta hai,
Bada Mushkil hota hai tab Jawab dena,
Jab koi Khamosh rehkar Sawaal kar leta hai.


Mera Ikraar Tere Inkaar Se Behatar Hoga,
Mera Din Bhi Teri Raat Se Behatar Hoga,
Yakeen Nahin To Dolee Se Jhankke Dekhna,
Mera Janazaa Teri Baaraat Se Behatar Hoga.


Zindagi Ki Raahon Mein Aise Mod Bhi Aate Hain,
Saawan Ke Saath-Saath Yehan Patjad Bhi Aate Hain,
Aasuwon Ke Saagar Mein Moti Bhi Milthe Hain,
Jo Unhe Doond lete hain, Wahi Zindagi Jee Lete Hain.


Dil ko dhadkna tune sikhaya,
Dil ko tadapna tune sikhaya,
aankhon mein aansoon kahin chupe the,
unko jhalakna tune sikhaya.


Ruth gya hai mujhko manane waala,
Ab koi nahi naaz mera uthaane wala,
Per jaane kya sonchta hai,
Yeh khula darwaaza,
Shayad rasta bhool gaya, aaane waaala.


Ankho me aansu aa jate hai,
phir bhi labo pe hasi rakhni padti hai,
Yeh mohobbat bhi kya cheez hai yaarro,
jisse karte hai usise chupani padti hai.

0 Comments:

Post a Comment

<< Home

Online Slots
Best Online Casino