Saturday, June 17, 2006

Collection 4

Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi,
Teri Hi Yaad Main Gum Rahi,
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai,
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi.


Tujhse milne ki justajoo bhi hai,
Dil mein tu rubaro bhi hai,
Humne socha ki,Dil ko jala dale,
fir khayal aaya ke dil mein tu bhi hai...........


Har raste ka mukam nahi hota,
Dil ke rishto ka naam nahi hota,
Khoja hai aapko dil ki roshni se,
Aap jaise pyarr kisi ke liye aam nahi hotay...


Mohbbat karna koi zulm nahi,
Agar ki jaye usool se,
Khuda ko bhi muhabbat thi,
Apne rasoul se.


Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah,
Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah,
Khushbu Ke Kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khud,
Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah.


KUCH PHOOL UN PAR baras rahe THE,
KUCH PHOOL HUM PAR baras rahe THE,
FARQ SIRF ITNA THA KI WOH DUNIYA BASA RAHE THE ,
AUR HUM IS DUNIYA SE JAA RAHE THE.


Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha
Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha
Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed
Usi Waqt Is Tofaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha


Fir na simtegi agar Mohabbat bikhar jayegi,
Zindagi zulf nahi jo fir se sawar jayegi,
Jo khushi de tham lo daaman uska,
Zindagi ro ke nahi has ke guzar jayegi.

0 Comments:

Post a Comment

<< Home

Online Slots
Best Online Casino