Tuesday, June 20, 2006

collection 5

Aaj ujaali ki kiran kho gayi,
zindagi veraan se ho gayi,
gaye woh din,jab humne unse umeed rakhi,
Aaj yeh kabool ho gaya,ki humain mohabbat se nafrat ho gayi.


Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo,
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo,
Log muth-thi bhar namak liye ghooma karte hain,
Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo.


Gamo mein hasne walo ko rulaya nahi jaata
Lehron se paani ko hataya nahi jaata...
Banne wale ban jaate hain apne,
Kisi ko kehkar apna banaya nahi jaata...


Zindagi main humesha naye log milenge,
Kahin pe Zyada to kahin pe kum milenge,
Aeitbar zara Soch ke Karna,
Mumkin nahi har jagah tumhe HUM milenge


har kali tujhse khusbu udhar maange,
aftab bhi tujhse noor udhar maange,
khuda kare teri-meri dosti aisi ho,
ki log mujhse teri dosti udhar maange.


Bund Bund se hai Sagar ki gehrayi
Iski har bund hai mujhme samayi,
Koi maange to ek bund, na de sakenge,
Kyunki har bund mein hai apki dosti samayie.


Tumhain dil main basaye rakhta hoon,
Aur duniya ko bhulaye rakhta hoon,
Tumhain hamari nazar na lage,
Is liye apni nazar jhukaye rakhta hoon.


Woh To Khushbu Hai, Hawaon Main Bikhar Jayega,
Masla Phool Ka Hai, Phool Kidhar Jayega,
Hum To Samjhe The Ke ik Zakham Hai Bhar Jayega,
Kya Khabar Thi Ke Rug-E-Jaan Main Utar Jayega.

0 Comments:

Post a Comment

<< Home

Online Slots
Best Online Casino