Friday, June 23, 2006

Collection 8

Tumhain Dil Main Basaye Rakhta Hoon,
Aur Duniya Ko Bhulaye Rakhta Hoon,
Tumhe Meri Nazar Na Lag Jaye,
Apni Nazar Jhukaye Rakhta Hoon.


Raste Main Gire Hain Phool,
Uthata Hai Koi Koi,
Muhabbat Karte Hain Sabhi,
Nibhata Hai Koi Koi.


Ishq ke lamhe sharaab lagte hain,
Kuch chehre mehtaab lagte hain,
Dukh itne sahe mohabbat main guzre hue,
Ke har lamhe hi azaab lagte hain.


Baat chali teri aankhon say,
Ja pahunchi paimanay tak,
Kheech rahi hai teri ulfat,
Aaj mujhe maikhaanay tak.


Tum jaan toontnay ka bahana na karo,
Hum teri aankhon say pee lenge,
Tum na aao, bus aanay ka wada karo,
Hum intezaar main jee lenge.


Pyar ka izhaar kar do,
Ab hum say nahi raha jaata,
Likh ker hi iqraar ker lo,
Agar hothon pay nahi aata.


Jo sachcha pyar karta hai,
woh kahan faryaad karta hai,
Labon ko hilnay nahi deta,
Dil o dil yaad karta hain.

Collection 6

Hui hum se ye nadani,
Kay teri mehfil mein aa baithe,
Ho kay zameen ki khakh,
Aasman se dil laga baithe.


Wada to ker lete hain,
Nibhana bhool jate hain,
Lagaaa kar aaag seene main,
Bujhana bhool jate hain.


Suraj ko diya dikhane se kya fayeda,
laash ko aag lagane se kya fayeda,
Aye shahjahaan, mumtaz to jaa chuki
Ab laash pe taj banane se kya fayeda.


aag to suraj deta hai ,
par jalna zameen ko padta hai,
dekhte hai nighai,
par tadapna dil ko padta hai.


Ashq Mile To Pee Lete Hain,
Aap Kahe To Mar Jayen Hum,
Aap Kahe To Jee Lete Hain,
Hum To Hain Un Phoolon Jaise,
Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain.


Chehre pe haseen chaa jati hai,
Aankhon main suroor aaa jata hai,
Jab tum mujhe apna kahte ho,
Apne pe ghuroor aa jata hai.


Sochta hoon in sagar ki lehro ko dekh kar,
Kyon yeh kinaro se takra kar palat jati hain,
Karti hain vo kinare se bewafa,
ya fir sagar se wafa nibhati hain.............?


Dil si cheez hai, dene ko hai de day,
Magar koi qabeel bhi to ho,
Hum to jaan de kay bhi khush hain,
Magar koi qateel bhi to ho.

Tuesday, June 20, 2006

collection 5

Aaj ujaali ki kiran kho gayi,
zindagi veraan se ho gayi,
gaye woh din,jab humne unse umeed rakhi,
Aaj yeh kabool ho gaya,ki humain mohabbat se nafrat ho gayi.


Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo,
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo,
Log muth-thi bhar namak liye ghooma karte hain,
Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo.


Gamo mein hasne walo ko rulaya nahi jaata
Lehron se paani ko hataya nahi jaata...
Banne wale ban jaate hain apne,
Kisi ko kehkar apna banaya nahi jaata...


Zindagi main humesha naye log milenge,
Kahin pe Zyada to kahin pe kum milenge,
Aeitbar zara Soch ke Karna,
Mumkin nahi har jagah tumhe HUM milenge


har kali tujhse khusbu udhar maange,
aftab bhi tujhse noor udhar maange,
khuda kare teri-meri dosti aisi ho,
ki log mujhse teri dosti udhar maange.


Bund Bund se hai Sagar ki gehrayi
Iski har bund hai mujhme samayi,
Koi maange to ek bund, na de sakenge,
Kyunki har bund mein hai apki dosti samayie.


Tumhain dil main basaye rakhta hoon,
Aur duniya ko bhulaye rakhta hoon,
Tumhain hamari nazar na lage,
Is liye apni nazar jhukaye rakhta hoon.


Woh To Khushbu Hai, Hawaon Main Bikhar Jayega,
Masla Phool Ka Hai, Phool Kidhar Jayega,
Hum To Samjhe The Ke ik Zakham Hai Bhar Jayega,
Kya Khabar Thi Ke Rug-E-Jaan Main Utar Jayega.

Saturday, June 17, 2006

Collection 4

Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi,
Teri Hi Yaad Main Gum Rahi,
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai,
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi.


Tujhse milne ki justajoo bhi hai,
Dil mein tu rubaro bhi hai,
Humne socha ki,Dil ko jala dale,
fir khayal aaya ke dil mein tu bhi hai...........


Har raste ka mukam nahi hota,
Dil ke rishto ka naam nahi hota,
Khoja hai aapko dil ki roshni se,
Aap jaise pyarr kisi ke liye aam nahi hotay...


Mohbbat karna koi zulm nahi,
Agar ki jaye usool se,
Khuda ko bhi muhabbat thi,
Apne rasoul se.


Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah,
Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah,
Khushbu Ke Kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khud,
Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah.


KUCH PHOOL UN PAR baras rahe THE,
KUCH PHOOL HUM PAR baras rahe THE,
FARQ SIRF ITNA THA KI WOH DUNIYA BASA RAHE THE ,
AUR HUM IS DUNIYA SE JAA RAHE THE.


Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha
Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha
Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed
Usi Waqt Is Tofaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha


Fir na simtegi agar Mohabbat bikhar jayegi,
Zindagi zulf nahi jo fir se sawar jayegi,
Jo khushi de tham lo daaman uska,
Zindagi ro ke nahi has ke guzar jayegi.

Thursday, June 15, 2006

Collection 3

Dil ki aawaz ko izhaar kehte hain,
Jhuki nazaro ko ikraar kehte hain,
Sirf paane ka naam ishq nahi,
Kuch khone ko bhi pyar kehte hain...


Hasi ke raste pe chala karo,
khushiyo ki mahak liya karo,
pyar se dilon ko chuha karo,
jahan tumhe gum nazar aaye,
is nacheez ko yaad kiya karo.


Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai,
Koi aankhon aankhon mein mulakaat kar leta hai,
Bada Mushkil hota hai tab Jawab dena,
Jab koi Khamosh rehkar Sawaal kar leta hai.


Mera Ikraar Tere Inkaar Se Behatar Hoga,
Mera Din Bhi Teri Raat Se Behatar Hoga,
Yakeen Nahin To Dolee Se Jhankke Dekhna,
Mera Janazaa Teri Baaraat Se Behatar Hoga.


Zindagi Ki Raahon Mein Aise Mod Bhi Aate Hain,
Saawan Ke Saath-Saath Yehan Patjad Bhi Aate Hain,
Aasuwon Ke Saagar Mein Moti Bhi Milthe Hain,
Jo Unhe Doond lete hain, Wahi Zindagi Jee Lete Hain.


Dil ko dhadkna tune sikhaya,
Dil ko tadapna tune sikhaya,
aankhon mein aansoon kahin chupe the,
unko jhalakna tune sikhaya.


Ruth gya hai mujhko manane waala,
Ab koi nahi naaz mera uthaane wala,
Per jaane kya sonchta hai,
Yeh khula darwaaza,
Shayad rasta bhool gaya, aaane waaala.


Ankho me aansu aa jate hai,
phir bhi labo pe hasi rakhni padti hai,
Yeh mohobbat bhi kya cheez hai yaarro,
jisse karte hai usise chupani padti hai.

Wednesday, June 14, 2006

Shayari from Fanaa (Special)

E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.


Tere Dile mein meri saanson ko panah mil jaaye,
Tere Ishq mein meri Jaan Fanaa Ho jaayeâ .


Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai....


Phool hun Gulaab kaâ ?
Chameli ka mat samjhnaâ ?
Aashiq hun aapkaâ ?
Apni Saheli ka mat samjhnaâ.

Dur Humse Jaa Paoge Kaise,
Humko Bhool Paoge Kaise.
Hum Who Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye,
Khud Apni Saanxon Ko Rok Paoge Kaise..

Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.
Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karteâ.

RONE DE TU AAJ HAMAKO TU AANKHE SUJANE DE,
BAHO ME LELE AUR KHUD KO BHEEG JANE DE,
HAI JO SEENE ME QUAID DARIYA WO CHUT JAYEGA,
HAI ITANA DARD KI TERA DAMAN BHEEG JAYEGA.

tere dil mein meri saanson ko jagah mil jaaye,
tere ishq mein meri jaan fanaa ho jaaye,
adhoori saans thi dhadkan adhoori thi adhooren ham,
magar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain ham.

Collection 2

Chand ke liye sitare anek han,
lekin sitaron ke liye chand ek hai,
Aapke liye to hazaron honge,
lekin hamare liye aap hi ek hain.

Har ek muskuruhat muskan Nahi hoti,
nafrat ho ya mohabbat aasan nahi hoti,
aansu gam ke aur khushi ke ek jaise hote hai,
inki pehchan aasan nahi hoti...

Dosti ki tadap ko dikhaya nahi jata,
dil mein lagi aag ko bhujaya nahi jaata,
Kitni bhi doori ho dosti me,
aap jaise dost ko bhualaya nahi jaata.

Tumko chahne wale kam na honge,
waqt ke sath magar ham na honge,
apna pyar chahe kisi ko bhi dena,
par teri yaad ke hakdar ham hi honge.

Raat itni haseen thi,
Ke saare so rahe the,
Hum hi aise badnaseeb the,
Jo aap ki yaad main ro rahe the.

pathar pani main mat pheko,
usse koi aur bhi peetahai,
zindagi haske jiyo,
tumhe dekh kar koi aur bhi jeeta hai.

kehte hai gam baatne se hota hai kam,
aisa hi kabhi pehle maante the hum,
tere pyar ki nishani tera gam hi to mere paas,
wo bhi baat du to rahega kya mere paas.

Kaate nahi kat te hain lamhe intezaar ke,
Nazarein jama ke baithe hain raste pe yaar ke,
Dil ne kaha dekhein jo jalwe husn-e-yaar ke,
Layaa hai koun inko, phalak se utaar ke.

Collection 1

Suni Jindagi me halchal si mehsoos hui,
Bejaan dil ki aaj dhadkan mehsus hui,
Jane aaj kyu aisa laga,
Shayad aapki kami mehsoos hui.

Hasi ke raste pe chala karo,
khushiyo ki mahak liya karo,
pyar se dilon ko chuha karo,
jahan tumhe gum nazar aaye,
is nacheez ko yaad kiya karo!

Tum jaan toontnay ka bahana na karo,
Hum teri aankhon say pee lenge,
Tum na aao, bus aanay ka wada karo,
Hum intezaar main jee lenge.

Sheeshe ke gharon main dekho to,
Patther dil wale buste hain,
Jo pyar ko khail samajhte hain,
Aur tor ke dil ko haste hain.

Chahne se koi cheez apni nahi hoti,
har muskurahat khushi nahi hoti,
Kehna to Chahte hai bahot kuch magar,
kabhi alfaz to kabhi zuban sath nahi hoti.

Jo palpal chalti rahe, use zindagi kehte hai,
jo harpal jalti rahe, use roshni kehte hai,
jo palpal khilte rahe, use mohabbat kehte hai,
jo saath na chode, use dosti kehte hai.

khushbu ki tarah apke pas bikhar jayenge,
sukun bankar dil me utar jayenge,
mehsus karne ki koshis karna,
dur hote huve bhi pas nazar aaynge.

Soya nahi kaye raaton se,
Is dil main tum hi samaye ho,
Her aahat per aisa lagta hai,
Kay shayad tum aaye ho.

Online Slots
Best Online Casino