Friday, June 23, 2006

Collection 6

Hui hum se ye nadani,
Kay teri mehfil mein aa baithe,
Ho kay zameen ki khakh,
Aasman se dil laga baithe.


Wada to ker lete hain,
Nibhana bhool jate hain,
Lagaaa kar aaag seene main,
Bujhana bhool jate hain.


Suraj ko diya dikhane se kya fayeda,
laash ko aag lagane se kya fayeda,
Aye shahjahaan, mumtaz to jaa chuki
Ab laash pe taj banane se kya fayeda.


aag to suraj deta hai ,
par jalna zameen ko padta hai,
dekhte hai nighai,
par tadapna dil ko padta hai.


Ashq Mile To Pee Lete Hain,
Aap Kahe To Mar Jayen Hum,
Aap Kahe To Jee Lete Hain,
Hum To Hain Un Phoolon Jaise,
Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain.


Chehre pe haseen chaa jati hai,
Aankhon main suroor aaa jata hai,
Jab tum mujhe apna kahte ho,
Apne pe ghuroor aa jata hai.


Sochta hoon in sagar ki lehro ko dekh kar,
Kyon yeh kinaro se takra kar palat jati hain,
Karti hain vo kinare se bewafa,
ya fir sagar se wafa nibhati hain.............?


Dil si cheez hai, dene ko hai de day,
Magar koi qabeel bhi to ho,
Hum to jaan de kay bhi khush hain,
Magar koi qateel bhi to ho.

0 Comments:

Post a Comment

<< Home

Online Slots
Best Online Casino